Now you can Subscribe using RSS

Submit your Email

Thursday 7 April 2016

blogger me apni khud ki website kese banaye..paise kamane k liye

Unknown
learn with divya ki blog pic

Hello friends me divya sahu fir ek bar aapke liye ek post leke aai hu. learn With Divya k madhyam se. aaj me aapko wapka ki trha ek free platform me khud ki free website banane ki tips bataungi. blogger google ka hi ek bhag (kind) hai. sabhse pehle ham acchi trha se blogger ke bare me jan lete hai.blogger me website (blog) banana koi jatil kaam nhi hai balki yaha bahut saral hai. pr jin log ko iske bare me nhi pata hai unke liye yaha bahut jatil kaam hai.

*ALSO READ* WAPKA ME ACCOUNT KESE BANAYE.

                   wapka me photo kese upload kare.

                   wapka me wap2 class kese banaye html ki sahayta se.


Website (Blog)  Kyo Banani chahiye?

Agar aap chahate ho ki sari duniya aapko pahchane to internet par aapki website hona bahut jaruri hai. mai aapko yaha par kuch most bate bta rahi hu jaise, make money earn money
  1.  agar aap online business karna chahate ho
  2.   internet se online paisa kamana chahate ho.
  3. aap apni jankari duniya ke sath share karna chahate ho.

Website (Blog) Banane ke liye kya kya chahiye?


1. Aap ko sabhse pehle internet ki jarurat padegi.
2. Aap k pass ek email id i meand gmail id hona chaiye.
3. Aap k pass ek computer ki jarurat padegi yadhi aap k pass computer laptop inme se kuch bhi na ho to aap mobile ka use kr sakhte ho pr vo android ios  hona chaiye jisme internet chale.

Website (Blog) kese banate hai paise kamane k liye.

aaj me aap log ko website (blog) kese banate hai bataungi.

learn with divya ki sign in pic
1. sabhse pehle apne computer ya mobile me www.blogger.com me jana hai.waha aap ko ek pop up window dikhai degi picture k jese fir aapko usme apni gmail id dalkr sign in me click karna hai.

learn with divya ki new blog pic

2. Ab aap ke samne jo window hai ushi trha ki window sign in me click karne ke baad open hogi fir aapko NEW BLOG me click karna hai window ki left side me dekhiye jaha arrow hai .

learn with divya ki title pic

3. Ab aap ke samne jo window hai yaha window NEW BLOG me click karne k baad aai hai.

3.1.  Title :- Title me aap ko apne website (blog) ke liye koi bhi Title type (likhna) hai. for ex. mene Title me learn with divya demo likhi hu.
3.2.  Address :- address me aapko apni website ke liye ek address type karna hai jis trha window me type kiya gya hai. for ex. learnwithdivyademo.blogspot.com  

Note :- Address aap ko is trha ka dalna hai jo pehle kabhi kisi ne use nhi kiya hai  yadhi aapke davara dala gya address pehle kabhi use nhi kiya gya hai to aap ke address window k baad right ka sing aa jayega or uske niche yeh likha rahega This blog address is avilable 

3.3   Template :- window me dikhai de rahe koi se bhi template ko aap select kar sakhte hai. jo aap ko accha laghe. for ex. jis trha mene simple template ko select ki hu.

3.4  Ab aapko create blog me click karna hai.


learn with divya ki view site pic


4. create new blog me click karte hai aapka blog ban jayega or ye window open ho jayegi ise blogger ka dashbord kehte hai.

4.1 Ab aap 1. k arrow ko dekhe  isse ye pata chal jata hai ki aapka blog ban gya hai.
4.2 Jb blog ban jaye to aap ke dimag me ye question aaya hoga ki is blog ka page view kesa hoga. yadhi aapko apne blog ka page view dekhna hai to aap arrow no. 2  me jo VIEW BLOG likha hai waha click karna hai.

learn with divya ki site pic

view blog me click karte hi aap  ek nai window me apni site ka page view dekh sakhte hai hmne simple template select kiye the is liye ye is trha hai yadhi hme ise change krna hai to dusra template select karna hoga..

*ALSO READ* WAPKA ME ACCOUNT KESE BANAYE.

                   wapka me photo kese upload kare.

                   wapka me wap2 class kese banaye html ki sahayta se.


           Aapko ye post kesi laghi hame comment karke jarur bataye .

                                          Thank you...!

Unknown / Author & Editor

Hey Supporters, Welcome to My Blog Learnwithdivya.blogspot.com . I'm Divya Sahu Professional Blogger From India. I Writes About Make Money, SEO, Blogging, Create Website, Social Networking Site and Earn Money From Blogging. Subscribe My Blog and Get Continue Guide of Blogging and others updates.

1 comments:

Coprights @ 2016, Learn With Divya Designed By Divya Sahu | Divya Sahu